Blog me Post/Article Likhne ke liye Post Editor ka istemal karna padta hai jo sabhi blog me hota hai chahe wah Blogger ya WordPress hi kiyu na ho. Aap sabse pahle post editor ki puri Knowledge le tabhi aap Blog par New Post dale. Agar aapko iski jankari pata nahi hai to Blogging kabhi nahi sikh sakte.
Blog Par New Post Kaise Upload Karte Hai Step by step Hindi Me Jankari
Blog Par Post Upload Karne Se Pahle Kuchh Jaruri Bate
Agar aap Article likh kar Blog par post dalne ja rahe hai, to kuch importent bato ka khyal rakhe. Kiyu ki sabhi blogger yahi chahte hai ki unke blog par adhik Traffic aaye.
1. Aap jis Topic par bhi Blog Post likhna chahte hai, uski bare me aapke pass puri jankari honi chahiye kiyu ki aadi adhuri jankari likhne se Reader ek bar aakar dubara kabhi wapas aapke blog par nahi aayega.
2. Aap jo bhi likh rahe hai, wo aisa likhe ki padhne walo ko juldi samaj aaye matalb jayada kathin bhasa ka use na kare.
3. Chhote chhote Peregraf me likhe yah SEO ke liye Better hota hai.
4. Post kam se kam 500 Word me jarur likhe.
5. Topic se related ek Image jarur use kare, Image chhoti Size ka lagaye. Isse apka blog load hone me kam samaye lagega.
Blog Par New Post Kaise Likhe?
Step 1. Sabse pahle blogger.com par jakar Login kare or Blog ke Deashboard me jaye.
Step 2. Deashboard me New Post ka option diya gaya hai usme Click Kare.
Isko Bhi Padhe
Step3. Ab aap post editor me pahuch gaye hai. Blog me Post dalne ke liye yaha se hi likha jata hai.
Post Editor ke do bhag hote hai Post Title or Post Body.
- Post Title – Isme post ka nam dala jata ki post kis Topic par hai. Jaise mere is post ka tital hai….Blogspot Blog Me Post/Article Kaise Likhte Hai
- Post Body – Niche bada wala khali Box hai Post is Box me likhate hai. Apko jo jankari post me dalni hai isme likhe.
Step 4. Article ko Complate likhne ke bad ek bar pura padh le ki kahi kuchh Mistake dikhai de to Sudhar le.
Ab apko Blog par Post Upload karna hai. Iske liye niche ki step folow kare.
Blog Par New Post/Article Upload Karne Ka Tarika
Step 5. Upar ke Right Side me Prevew ka Option par Click kar ke Post ko Check kare ki blog me post kesa dikhai dega agar koi galti dikhe to Post Editor me jakar usko sahi kare.
Step 6. Ab apko Blog me Post ko Dalna Hai. Blogger me Post Dalne ke liye upar Right Side me Red Color ka Publish Tab par Click kar ke Post ko Pablish kar de.
Dekha apne Blog par Post karna kitna esy hai, agar aap new blogger hai to app hamari blogging se related post jarur padhe apko bahut kuch sikne ko milega. Agr apka koi sawal hai to mujhe aap Comment ke madhaym se Puchh sakte he. Taza updet pane ke liye Facebook Page Digital New Hunt Like karna na bhule.
Mere blog me koi video upload nahi ho rahi hai meri help kijiye please
Mere blog par koi video upload nahi ho rahi hai please help me
Aap youtube par video upload kar ke blog par dikha sakte hai iske liye youtube se embed code apne blog par lagana hota hai
Dharmendar ji aap zara mujhe bataye ki kiya mobile se pc ki tarh blogging kar sakte hai. Dusra sawal mai ne ek article !imha adha post likh ke save kar diya adhaz baad mnai limha lekin ab pahle wasla article show nahi ho rasha hai plz help me
Ans 1. Aap mobile se blogging kar sakte hai. but usme article me image or other setting ka option nahi use kar sakte……. isliye pc se article or blog setup karna best rahta hai.
Ans 2. Apne yah nahi bataya ki article likh kar kaha save kiya tha……